Maut tu ek kavita hai....
Mujhse ek kavita ka vadaa hai, milegi mujhko ...
Doobti nabzon mein jab dard ko neend aane lage
Zard sa chehra liye chaand ufaq tak pahunche ...
Din abhi paani mein ho, raat kinare ke kareeb
Na andhera ho, na ujala ho ...
Na aadhi raat, na din
Jism jab khatm ho aur rooh ko saans aae ...
Mujhse ek kavita ka vadaa hai milegi mujhko....
No comments:
Post a Comment